April 7, 2012

ये घटा नहीं बरस पाएगी...


आज फिर, लगता है, ये घटा नहीं बरस पाएगी...
आज फिर ये हवा साथ इसको ले जायेगी!
रोज़ ही, कुछ दिन से यूँ घटा छाती है,
रोज़ ही मगर, बिना बरसे चली जाती है.
रोज़ ही दिल में एक उम्मीद सी होते ही जवाँ,
मन मसोस, खड़ी देखती रह जाती है.
कि जो छाती है घटा उम्मीद के निशाँ लेकर,
वो कहीं और जाकर बरस जाती है!
 

aaj phir, lagta hai, ye ghata nahin baras paayegi...
aaj phir ye havaa saath isko lejaayegi!
roz hi, kuchh din se yuun ghataa chaatii hai,
roz hii magar, binaa barse chalii jaatii hai.
roz hii dil mein ek ummiid sii hote hii javaa.n,
mann masos, khadii dekhtii rah jaatii hai.
ki jo chaatii hai ghataa ummiid ke nishaa.n lekar,
vo kahii.n aur jaakar baras jaatii hai!

1 comment: