April 30, 2010

Tanha

Dekhiye to lagta hai,
zindagi ki raaho.n mei.n,
ek bhee.d chalti hai.
sochiye to lagta hai,

bhee.d mei.n hain sab tanha.

Jitne bhi yeh rishte hai.n,
kaanch ke khilone hai.n,
pal mein toot sakte hai.n.
ek pal mein ho jaye,
kaun jaane kab tanha!

Dekhiye to lagta hai,
jaise yeh jo duniya hai,
kitni rangeen mehfil hai,
sochiye to lagta hai,

kitna gham hai duniya mei.n,
kitna zakhmi her dil hai.

Woh jo muskurate thay,
jo kisi ko khuwabon mei.n,
apne paas paate thay,
unki neend tooti hai,
aur hai.n woh ab tanha!


Dekhiye to lagta hai,
zindagi ki raahon mei.n,
ek bhee.d chalti hai.
sochiye to lagta hai,

bhee.d mei.n hai.n sab tanha!




April 26, 2010

Another goodbye? Ah! and the pain?
Nah! The clouds are here, to bring the rain

You say the sun's overtaken now?
He's the one to have made the rain!

So what if it's time for goodbye!
If there's been joy, there'll be pain!

Time to gear up and go on... 
There'll be rainbows yet again!

April 21, 2010

"मेरी महफ़िल में ज़िक्र तेरा होता है" क्या कह दिया मैंने,
होके मग़रूर ख़ुद को ख़ुदा ही जान बैठा तू!

"merii mehfil mein zikr tera hota hai" kyaa kah diyaa maine,
hoke mag.roor kh.ud ko kh.udaa hi jaan baithaa tuu!

April 6, 2010

कोई और नहीं

न अजनबी है मुझ से, न ग़म से मेरे, तू
दाग़-ए-दिल-ए-नाज़ुक से मेरे अंजान भी नहीं

है मसरूफ आख़िर कितना, के है औरों से रु-ब-रु
बस ग़म-ए-दिल से मेरे ही परेशान तू नहीं

क्या हो चला है इस कदर बेज़ार मुझ से तू,
के ग़म-ए-दिल से मेरे ज़रा परेशान तू नहीं?

ये फ़िर उसी मुक़ाम पर ले आई मुझे हयात
के मैं हूँ, मेरी तन्हाई है, कोई और फ़िर नहीं!


na ajnabii hai mujh se, na g.am se mere, tu
daag.-e-dil-e-naazuk se mere anjaan bhii nahii.n

hai masruuf akh.ir kitnaa, ke hai auro.n se ru-ba-ru
bas g.am-e-dil se mere hii pareshaan tu nahii.n

kya ho chala hai isa kadar bezaar mujh se tu
ke g.am-e-dil se mere zaraa pareshaan tu nahii.n?

ye fir usii muk.aam par le aayii mujhe hayaat
ke mai.n huu.n, merii tanhaayi hai, koii aur fir nahii.n!